Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq se bach ke kidhar jaenge hum

Rangin Saadat Yaar Khan

ishq se bach ke kidhar jaenge hum

Rangin Saadat Yaar Khan

MORE BYRangin Saadat Yaar Khan

    ishq se bach ke kidhar jā.eñge ham

    hai ye maujūd jidhar jā.eñge ham

    tan ke bas rakhiye qabza par haath

    dekhiye muft meñ Dar jā.eñge ham

    terī dahlīz par apne sar ko

    ek din kaaT ke dhar jā.eñge ham

    vo ye kahte haiñ na de dil ham ko

    dekh lete mukar jā.eñge ham

    man.a karte ho abas yaaro aaj

    us ke ghar jā.eñge par jā.eñge ham

    dil lenī hai ḳhabar ham ko zarūr

    aaj to phir bhī udhar jā.eñge ham

    dam kahīñ leñge na phir tā-ba-adam

    tere kūcha se agar jā.eñge ham

    na guzregā jafā se zālim

    jaan se apnī guzar jā.eñge ham

    ziist baaqī hai to apnā 'rañgīñ'

    naam is ishq meñ kar jā.eñge ham

    ishq se bach ke kidhar jaenge hum

    hai ye maujud jidhar jaenge hum

    tan ke bas rakhiye qabza par hath

    dekhiye muft mein Dar jaenge hum

    teri dahliz par apne sar ko

    ek din kaT ke dhar jaenge hum

    wo ye kahte hain na de dil hum ko

    dekh lete hi mukar jaenge hum

    mana karte ho abas yaro aaj

    us ke ghar jaenge par jaenge hum

    dil ki leni hai KHabar hum ko zarur

    aaj to phir bhi udhar jaenge hum

    dam kahin lenge na phir ta-ba-adam

    tere kucha se agar jaenge hum

    tu na guzrega jafa se zalim

    jaan se apni guzar jaenge hum

    zist baqi hai to apna 'rangin'

    nam is ishq mein kar jaenge hum

    Source :
    • Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 70)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now