ishq se gham ko eatibar mila
ishq se ġham ko e.atibār milā
dil milā zauq-e-intizār milā
zindagī garche musta.ār milī
jalva-e-husn pā.edār milā
ham ne kab iḳhtiyār chāhā thā
ham ko to jabr iḳhtiyār milā
kaun samjhā.e farq-e-nāz-o-niyāz
koī aisā na rāzdār milā
haiñ agarche 'kamāl' ham ḳhākī
nuur kā ham ko e.atibār milā
ishq se gham ko eatibar mila
dil mila zauq-e-intizar mila
zindagi garche mustaar mili
jalwa-e-husn paedar mila
hum ne kab iKHtiyar chaha tha
hum ko to jabr iKHtiyar mila
kaun samjhae farq-e-naz-o-niyaz
koi aisa na raazdar mila
hain agarche 'kamal' hum KHaki
nur ka hum ko eatibar mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.