ishq se yar baghawat nahin karne wale
ishq se yaar baġhāvat nahīñ karne vaale
ab tire qalb se hijrat nahīñ karne vaale
ya.anī ham terī jagah aur kisī ko de kar
dūsrī baar mohabbat nahīñ karne vaale
zulm karnā hai karo tum ko ijāzat hai ki ham
rab se kyā ḳhud se shikāyat nahīñ karne vaale
hijr ke zaḳhm pe qurbat kā lagā kar marham
apne zaḳhmoñ kī himāyat nahīñ karne vaale
dil ke zaḳhmoñ ko jagātī haiñ rulātī haiñ so ham
ārzūoñ kī kifālat nahīñ karne vaale
dasht meñ jā ke phaTe kapḌe pahan kar 'zoyā'
ham to majnūñ kī qayādat nahīñ karne vaale
ishq se yar baghawat nahin karne wale
ab tere qalb se hijrat nahin karne wale
yani hum teri jagah aur kisi ko de kar
dusri bar mohabbat nahin karne wale
zulm karna hai karo tum ko ijazat hai ki hum
rab se kya KHud se shikayat nahin karne wale
hijr ke zaKHm pe qurbat ka laga kar marham
apne zaKHmon ki himayat nahin karne wale
dil ke zaKHmon ko jagati hain rulati hain so hum
aarzuon ki kifalat nahin karne wale
dasht mein ja ke phaTe kapDe pahan kar 'zoya'
hum to majnun ki qayaadat nahin karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.