ishq taron se na mahtab se dildari ki
'ishq tāroñ se na mahtāb se dildārī kī
raat ne dhuup ke bistar pe siyah-kārī kī
maiñ vo dahqān-e-junūñ-ḳhez huuñ jis ne apne
jism ke khet meñ zaḳhmoñ kī shajar-kārī kī
muddatoñ laTkī rahī mom kī zanjīr se laash
barf ke sūkhe hue peḌ pe chingārī kī
chand sāñsoñ ke liye apnā mudāvā kar ke
tū ne amrāz-e-ḳhudā-dād se ġhaddārī kī
kuchh taġhayyur kī ye rāteñ bhī bahut lambī haiñ
kuchh mirī qaum ko 'ādat nahīñ bedārī kī
suī ke chhed se hāthī kā guzar mumkin hai
ise kahte haiñ taḳhayyul kī bahut bārīkī
tum ne lafzoñ kī numā.ish pe faqat dhyān diyā
maiñ ne kāġhaz ke hasīñ jism pe gul-kārī kī
ruuh par itr lagā ke mire paas aayā kar
tere kirdār se bū aatī hai makkārī kī
bazm-e-dānish meñ na muñh kholnā apnā 'hasrat'
tujh se ummīd nahīñ mujh ko samajhdārī kī
'ishq taron se na mahtab se dildari ki
raat ne dhup ke bistar pe siyah-kari ki
main wo dahqan-e-junun-KHez hun jis ne apne
jism ke khet mein zaKHmon ki shajar-kari ki
muddaton laTki rahi mom ki zanjir se lash
barf ke sukhe hue peD pe chingari ki
chand sanson ke liye apna mudawa kar ke
tu ne amraaz-e-KHuda-dad se ghaddari ki
kuchh taghayyur ki ye raaten bhi bahut lambi hain
kuchh meri qaum ko 'adat nahin bedari ki
sui ke chhed se hathi ka guzar mumkin hai
ise kahte hain taKHayyul ki bahut bariki
tum ne lafzon ki numaish pe faqat dhyan diya
main ne kaghaz ke hasin jism pe gul-kari ki
ruh par itr laga ke mere pas aaya kar
tere kirdar se bu aati hai makkari ki
bazm-e-danish mein na munh kholna apna 'hasrat'
tujh se ummid nahin mujh ko samajhdari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.