ishq tere se lagawe na KHuda aar mujhe
ishq tere se lagāve na ḳhudā aar mujhe
na kare dām-e-rihā.ī meñ giraftār mujhe
husn aur ishq meñ ek taur se nisbat hai zarūr
chashm-e-bīmār tujhe dī hai dil-e-zār mujhe
yaar aayā pe mujhe hosh na thā kyā kahiye
na kiyā is dil-e-dushman ne ḳhabar-dār mujhe
sañg-e-tiflāñ kī maiñ ummīd pe huuñ dīvāna
tispe dete haiñ taġhāful se ye āzār mujhe
jab se nazzāra kiyā tark huā huuñ dil-e-sard
garm rakhtā thā 'yaqīñ' shola-e-dīdār mujhe
ishq tere se lagawe na KHuda aar mujhe
na kare dam-e-rihai mein giraftar mujhe
husn aur ishq mein ek taur se nisbat hai zarur
chashm-e-bimar tujhe di hai dil-e-zar mujhe
yar aaya pe mujhe hosh na tha kya kahiye
na kiya is dil-e-dushman ne KHabar-dar mujhe
sang-e-tiflan ki main ummid pe hun diwana
tispe dete hain taghaful se ye aazar mujhe
jab se nazzara kiya tark hua hun dil-e-sard
garm rakhta tha 'yaqin' shola-e-didar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.