ishq tha waqia bana Dala
'ishq thā vāqi'a banā Daalā
aap ne kyā se kyā banā Daalā
āsmāñ ko na chhū sake to kyā
ek ziina nayā banā Daalā
jin kā dā'vā hai pāniyoñ pe hanūz
har taraf karbalā banā Daalā
aadmī aadmī to ho pahle
aap ne to ḳhudā banā Daalā
hijr meñ kufr ye huā sarzad
tum ga.e dūsrā banā Daalā
us se jī bhar ke baat kī kal raat
shakl thā vo sadā banā Daalā
har na.e ġham pe muskurātā huuñ
ik tamāshe ne kyā banā Daalā
'ishq tha waqi'a bana Dala
aap ne kya se kya bana Dala
aasman ko na chhu sake to kya
ek zina naya bana Dala
jin ka da'wa hai paniyon pe hanuz
har taraf karbala bana Dala
aadmi aadmi to ho pahle
aap ne to KHuda bana Dala
hijr mein kufr ye hua sarzad
tum gae dusra bana Dala
us se ji bhar ke baat ki kal raat
shakl tha wo sada bana Dala
har nae gham pe muskuraata hun
ek tamashe ne kya bana Dala
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 29)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.