ishq to dur ibaadat nahin karne dete
ishq to duur ibādat nahīñ karne dete
dukh buzurgoñ kī bhī izzat nahīñ karne dete
aisā jaadū bharā lahja hai ki us ke va.ade
ham se bāġhī ko baġhāvat nahīñ karne dete
phuul kalrāThī zamīnoñ meñ kahāñ khilte haiñ
ranj bachchoñ ko sharārat nahīñ karne dete
ab kisī baat pe laḌte hī nahīñ haiñ tum se
tere lahje hī shikāyat nahīñ karne dete
ġhol ke ġhol mire sahn meñ aa baiThte haiñ
ye parinde mujhe hijrat nahīñ karne dete
murshidī ek nazar diid ke māroñ kī taraf
jin ko hālāt ziyārat nahīñ karne dete
ishq to dur ibaadat nahin karne dete
dukh buzurgon ki bhi izzat nahin karne dete
aisa jadu bhara lahja hai ki us ke wade
hum se baghi ko baghawat nahin karne dete
phul kalraThi zaminon mein kahan khilte hain
ranj bachchon ko shararat nahin karne dete
ab kisi baat pe laDte hi nahin hain tum se
tere lahje hi shikayat nahin karne dete
ghol ke ghol mere sahn mein aa baiThte hain
ye parinde mujhe hijrat nahin karne dete
murshidi ek nazar did ke maron ki taraf
jin ko haalat ziyarat nahin karne dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.