ishq tujhko kabhi hua hi nahin
ishq tujh ko kabhī huā hī nahīñ
kyā mirī jaan ye tabāhī nahīñ
jis ko māñgā thā umr-bhar ke liye
vo mujhe umr-bhar milā hī nahīñ
lāpata huuñ maiñ jis kī chāhat meñ
mujh ko us kā pata pata hī nahīñ
yuuñ achānak mujhe vo chhoḌ gayā
saath jaise kabhī vo thā hī nahīñ
zindagī haath joḌtī hai magar
kah rahā hai har ik sipāhī nahīñ
kyā tire paas muflisī hai batā
gar mire paas bādshāhī nahīñ
jo mire saath ho rahā hai yahāñ
mujh ko manzūr yā-ilāhī nahīñ
ishq tujh ko kabhi hua hi nahin
kya meri jaan ye tabahi nahin
jis ko manga tha umr-bhar ke liye
wo mujhe umr-bhar mila hi nahin
lapata hun main jis ki chahat mein
mujh ko us ka pata pata hi nahin
yun achanak mujhe wo chhoD gaya
sath jaise kabhi wo tha hi nahin
zindagi hath joDti hai magar
kah raha hai har ek sipahi nahin
kya tere pas muflisi hai bata
gar mere pas baadshahi nahin
jo mere sath ho raha hai yahan
mujh ko manzur ya-ilahi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.