Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq wo mashk hai jo lakh chhupae na chhape

Haqeer Jahani

ishq wo mashk hai jo lakh chhupae na chhape

Haqeer Jahani

MORE BYHaqeer Jahani

    ishq vo mashk hai jo laakh chhupā.e na chhape

    daaġh ham se bhī mohabbat ke lagā.e na chhape

    jalva-gar jaise pas-e-abr mah-e-kāmil ho

    ruḳh-e-zebā vo sitamgar na dikhā.e na chhape

    husn ko hosh-rubā nīm-hijābī ne kiyā

    vo kabhī saaf mire sāmne aa.e na chhape

    bevafā.ī se vo apnī rahe munkir lekin

    un āñkhoñ meñ base aks parā.e na chhape

    liyā chāk-e-dahan raaz chhupāne ko magar

    ashk āñkhoñ ne musalsal jo bahā.e na chhupe

    shab-e-tārīk ne rakhā thā bharam kitnoñ

    jab lagī aag ujālā huā saa.e na chhupe

    ḳhauf-e-rusvā.ī rahā ḳhvāhish-e-qurbat bhī 'haqīr'

    ham milā un se nigāhoñ ko na paa.e na chhape

    ishq wo mashk hai jo lakh chhupae na chhape

    dagh hum se bhi mohabbat ke lagae na chhape

    jalwa-gar jaise pas-e-abr mah-e-kaamil ho

    ruKH-e-zeba wo sitamgar na dikhae na chhape

    husn ko hosh-ruba nim-hijabi ne kiya

    wo kabhi saf mere samne aae na chhape

    bewafai se wo apni rahe munkir lekin

    un ki aankhon mein base aks parae na chhape

    si liya chaak-e-dahan raaz chhupane ko magar

    ashk aankhon ne musalsal jo bahae na chhupe

    shab-e-tarik ne rakha tha bharam kitnon ka

    jab lagi aag ujala hua sae na chhupe

    KHauf-e-ruswai raha KHwahish-e-qurbat bhi 'haqir'

    hum mila un se nigahon ko na pae na chhape

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now