bistar dhul aur KHushbu wahi purani hai
bistar dhuul aur ḳhushbū vahī purānī hai
us kamre kī apnī ek kahānī hai
muddat baa'd kahīñ sannāTā bolā hai
ye aahaT kitnī jānī-pahchānī hai
do jaltī-bujhtī āñkheñ aur maiñ aur tum
bachpan hai aur raat hai aur kahānī hai
sair karā.e roz ik uḌan-khaTole meñ
yaad bhī jaise merī būḌhī naanī hai
ḳhud ko maiñ ne qaid kiyā hai kamre meñ
maiñ ne hī khiḌkī par chādar taanī hai
aañkh pe paTTī bāñdh ke bhī chal saktī hai
beTī merī mujh se bahut siyānī hai
chiḌiyoñ ko to shor machānā aatā hai
peḌ ko lekin apnī riit nibhānī hai
bachchoñ se to ham ko shikva rahtā hai
aage kis ne baat baḌoñ kī maanī hai
dariyā hai to ik din rasta badlegā
kab dariyā ne baat kisī kī maanī hai
un rastoñ kā apnā ek andāza hai
un galiyoñ kī apnī ek nishānī hai
ab ye dil bhī kitnā bojh sahāregā
maan bhī jaao kashtī bahut purānī hai
mausam shāyad āḳhirī hichkī letā hai
ye jo lahū ke dariyā meñ tuġhyānī hai
sar Takrātā rahtā hai dīvāroñ se
mere andar bhī koī zindagānī hai
'ishq meñ ham ne kyā khoyā aur kyā paayā
mat pūchho pyāre qissa tūlānī hai
shaam ke saath na jaanā tanhā mele meñ
kho jāoge shaam bahut sailānī hai
aag bacha kar rakhnā apne hisse kī
aane vaalī raat baḌī barfānī hai
terī ḳhātir kitnā ḳhud ko badal diyā
apne uupar mujh ko bhī hairānī hai
bistar dhul aur KHushbu wahi purani hai
us kamre ki apni ek kahani hai
muddat ba'd kahin sannaTa bola hai
ye aahaT kitni jaani-pahchani hai
do jalti-bujhti aankhen aur main aur tum
bachpan hai aur raat hai aur kahani hai
sair karae roz ek uDan-khaTole mein
yaad bhi jaise meri buDhi nani hai
KHud ko main ne qaid kiya hai kamre mein
main ne hi khiDki par chadar tani hai
aankh pe paTTi bandh ke bhi chal sakti hai
beTi meri mujh se bahut siyani hai
chiDiyon ko to shor machana aata hai
peD ko lekin apni rit nibhani hai
bachchon se to hum ko shikwa rahta hai
aage kis ne baat baDon ki mani hai
dariya hai to ek din rasta badlega
kab dariya ne baat kisi ki mani hai
un raston ka apna ek andaza hai
un galiyon ki apni ek nishani hai
ab ye dil bhi kitna bojh sahaarega
man bhi jao kashti bahut purani hai
mausam shayad aaKHiri hichki leta hai
ye jo lahu ke dariya mein tughyani hai
sar Takraata rahta hai diwaron se
mere andar bhi koi zindagani hai
'ishq mein hum ne kya khoya aur kya paya
mat puchho pyare qissa tulani hai
sham ke sath na jaana tanha mele mein
kho jaoge sham bahut sailani hai
aag bacha kar rakhna apne hisse ki
aane wali raat baDi barfani hai
teri KHatir kitna KHud ko badal diya
apne upar mujh ko bhi hairani hai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.