garm sunsan dopahar aur main
garm sunsān dopahar aur maiñ
suunā āñgan ghanā shajar aur maiñ
sar-ḳhamīda girafta-dil dālān
ḳhasta mehrāb girte dar aur maiñ
liye baiThe haiñ dil meñ sau shikve
us galī ke shajar-hajar aur maiñ
haa.e vo surḳh ḳhashmagīñ āñkheñ
haa.e vo sarzanish kā Dar aur maiñ
haa.e vo poplī hañsī ke phuul
haa.e vo mehrbāñ nazar aur maiñ
koī huqqa sā guḌguḌātā hai
baat karte haiñ bām-o-dar aur maiñ
mujh pe hañstā ye popalā būḌhā
merī tahzīb kā khañDar aur maiñ
garm sunsan dopahar aur main
suna aangan ghana shajar aur main
sar-KHamida girafta-dil dalan
KHasta mehrab girte dar aur main
liye baiThe hain dil mein sau shikwe
us gali ke shajar-hajar aur main
hae wo surKH KHashmagin aankhen
hae wo sarzanish ka Dar aur main
hae wo popli hansi ke phul
hae wo mehrban nazar aur main
koi huqqa sa guDguData hai
baat karte hain baam-o-dar aur main
mujh pe hansta ye popala buDha
meri tahzib ka khanDar aur main
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 91)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.