dur basti se kisi sham ke hangam kahin
duur bastī se kisī shaam ke hangām kahīñ
chal ki phir jashn manā.eñ dil-e-nākām kahīñ
ab bhī kuchh zard dupaTTe se jhamak uThte haiñ
kunj meñ duur daraḳhtoñ ke sar-e-shām kahīñ
dil-nagar hai kisī ujḌī huī shahzādī kā
sabza-zār ek lahaktā hai sar-e-bām kahīñ
kis ko mā'lūm huī kaun sī aayat mansūḳh
yaad utrī thī tirī sūrat-e-ilhām kahīñ
phir se vo garmī-e-anfās kahāñ se laa.eñ
lauT bhī aa.eñ agar vo sahar-o-shām kahīñ
dur basti se kisi sham ke hangam kahin
chal ki phir jashn manaen dil-e-nakaam kahin
ab bhi kuchh zard dupaTTe se jhamak uThte hain
kunj mein dur daraKHton ke sar-e-sham kahin
dil-nagar hai kisi ujDi hui shahzadi ka
sabza-zar ek lahakta hai sar-e-baam kahin
kis ko ma'lum hui kaun si aayat mansuKH
yaad utri thi teri surat-e-ilham kahin
phir se wo garmi-e-anfas kahan se laen
lauT bhi aaen agar wo sahar-o-sham kahin
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 94)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.