aabaadi aabaadi gahra sannaTa
ābādī ābādī gahrā sannāTā
har sū mere dil ke jaisā sannāTā
pankh pakherū Daalī Daalī chahak rahe haiñ
aadmī ke hisse meñ aisā sannāTā
galiyoñ galiyoñ dhuul uḌātī tanhā.ī
āñgan āñgan shor machātā sannāTā
anjānī dīvār khaḌī hai har ghar meñ
andar baiThā hai an-dekhā sannāTā
ḳhāmoshī kā qufl paḌā darvāzoñ meñ
aur khiḌkī meñ sahmā sahmā sannāTā
darvāze par jaane kis ne dastak dī
dastak sun kar bāhar niklā sannāTā
ik duuje ko chhūte bhī Dar lagtā hai
saath khaḌā hai ḳhauf meñ lipTā sannāTā
dhartī ne ik chādar oḌhī saaf safed
aur sir.hāne baiTh ke royā sannāTā
aabaadi aabaadi gahra sannaTa
har su mere dil ke jaisa sannaTa
pankh pakheru Dali Dali chahak rahe hain
aadmi ke hisse mein aisa sannaTa
galiyon galiyon dhul uDati tanhai
aangan aangan shor machata sannaTa
anjaani diwar khaDi hai har ghar mein
andar baiTha hai an-dekha sannaTa
KHamoshi ka qufl paDa darwazon mein
aur khiDki mein sahma sahma sannaTa
darwaze par jaane kis ne dastak di
dastak sun kar bahar nikla sannaTa
ek duje ko chhute bhi Dar lagta hai
sath khaDa hai KHauf mein lipTa sannaTa
dharti ne ek chadar oDhi saf safed
aur sirhane baiTh ke roya sannaTa
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 98)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.