inTon par tariKH khudi thi bartan par kuchh nam
īñToñ par tārīḳh khudī thī bartan par kuchh naam
būḌhī āñkheñ chhājoñ barsīñ jis din thā nīlām
peT kā dozaḳh paaT rahe haiñ poroñ ke ye zaḳhm
oḌhniyoñ par phuul khilā.eñ biTiyā sub.h-o-shām
darvāze se lauTī jab se aa.ī huī barāt
qabroñ meñ ammāñ baavā ko milā nahīñ ārām
ghar kī būḌhī dīvāroñ ko lonī khātī jaa.e
sayyad-zāde DhūñD rahe haiñ ek sadī se kaam
ab tak laḌkī kahlātī haiñ chāñdī ho ga.e baal
in se miliye un par bhī hai jiine kā ilzām
inTon par tariKH khudi thi bartan par kuchh nam
buDhi aankhen chhajon barsin jis din tha nilam
peT ka dozaKH paT rahe hain poron ke ye zaKHm
oDhniyon par phul khilaen biTiya subh-o-sham
darwaze se lauTi jab se aai hui baraat
qabron mein amman bawa ko mila nahin aaram
ghar ki buDhi diwaron ko loni khati jae
sayyad-zade DhunD rahe hain ek sadi se kaam
ab tak laDki kahlati hain chandi ho gae baal
in se miliye un par bhi hai jine ka ilzam
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 87)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.