ba-zahir TuT kar bikhre nahin hain
ba-zāhir TuuT kar bikhre nahīñ haiñ
magar ham ab vo pahle se nahīñ haiñ
vahī bechain rakhte haiñ ziyāda
abhī tak harf jo likkhe nahīñ haiñ
hai miTTī se juḌe rahnā zarūrī
ḳhalā meñ phuul to khilte nahīñ haiñ
laḌā.ī laḌ rahe haiñ zindagī se
thake to haiñ magar haare nahīñ haiñ
ye dariyā ḳhushk hai aisā nahīñ bas
kisī ke sāmne rote nahīñ haiñ
samajh meñ aa ga.ī jis roz duniyā
usī din se to duniyā ke nahīñ haiñ
ki be-tartīb bhī rahne diyā kar
ye ghar haiñ ā.ina-ḳhāne nahīñ haiñ
ba-zahir TuT kar bikhre nahin hain
magar hum ab wo pahle se nahin hain
wahi bechain rakhte hain ziyaada
abhi tak harf jo likkhe nahin hain
hai miTTi se juDe rahna zaruri
KHala mein phul to khilte nahin hain
laDai laD rahe hain zindagi se
thake to hain magar haare nahin hain
ye dariya KHushk hai aisa nahin bas
kisi ke samne rote nahin hain
samajh mein aa gai jis roz duniya
usi din se to duniya ke nahin hain
ki be-tartib bhi rahne diya kar
ye ghar hain aaina-KHane nahin hain
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 89)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.