apni chadar ko parcham kar sakti hai
apnī chādar ko parcham kar saktī hai
'aurat ik tārīḳh raqam kar saktī hai
aivānoñ se nikal sake to ye āvāz
ik 'ālam darham-barham kar saktī hai
chār-divārī meñ pāband akelī soch
Daro ki qātil ko mahram kar saktī hai
zinda dafnā.ī ga.ī 'aurat kī ik chīḳh
ḳhāmoshī ke haath qalam kar saktī hai
vo jo biyāhī ga.ī kalām-e-pāk ke saath
likhne ko poreñ to qalam kar saktī hai
gahrī kaalī raat meñ ek diye kī lau
tārīkī kā dukh to kam kar saktī hai
bachchoñ kī nannhī munnī mīThī muskān
jiine kā sāmān baham kar saktī hai
apni chadar ko parcham kar sakti hai
'aurat ek tariKH raqam kar sakti hai
aiwanon se nikal sake to ye aawaz
ek 'alam darham-barham kar sakti hai
chaar-diwari mein paband akeli soch
Daro ki qatil ko mahram kar sakti hai
zinda dafnai gai 'aurat ki ek chiKH
KHamoshi ke hath qalam kar sakti hai
wo jo biyahi gai kalam-e-pak ke sath
likhne ko poren to qalam kar sakti hai
gahri kali raat mein ek diye ki lau
tariki ka dukh to kam kar sakti hai
bachchon ki nannhi munni miThi muskan
jine ka saman baham kar sakti hai
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 90)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.