ishrat-e-haal mein andesha-e-farda karna
ishrat-e-hāl meñ andesha-e-fardā karnā
mere mashrab meñ nahīñ ye ġham-e-bejā karnā
fikr-e-anjām nahīñ farz kisī mai-kash par
haañ magar bāda-e-āġhāz kī parvā karnā
mahv-e-nazzāra zamāna hai magar hāsil-e-dīd
aisā āsāñ nahīñ duniyā kā nazārā karnā
hāsil-e-zīst hai kyā mai-kada-e-hastī meñ
talḳhī-e-bāda-e-ummīd gavārā karnā
dekh ai be-ḳhudī-e-shauq-e-parastish hoshiyār
husn-e-ḳhuddār ko mahfil meñ na rusvā karnā
laakh ma.ayūb na ho phir bhī nahīñ mustahsan
hazrat-e-dost meñ iz.hār-e-tamannā karnā
sau tarīqe haiñ parastish ke agar zauq ho kuchh
kyā baḌī baat hai koī use sajda karnā
tark-e-mai kufr hai ai 'rāz' mire mashrab meñ
ain īmāñ hai sar-e-sāġhar-o-mīnā karnā
ishrat-e-haal mein andesha-e-farda karna
mere mashrab mein nahin ye gham-e-beja karna
fikr-e-anjam nahin farz kisi mai-kash par
han magar baada-e-aghaz ki parwa karna
mahw-e-nazzara zamana hai magar hasil-e-did
aisa aasan nahin duniya ka nazara karna
hasil-e-zist hai kya mai-kada-e-hasti mein
talKHi-e-baada-e-ummid gawara karna
dekh ai be-KHudi-e-shauq-e-parastish hoshiyar
husn-e-KHuddar ko mahfil mein na ruswa karna
lakh mayub na ho phir bhi nahin mustahsan
hazrat-e-dost mein izhaar-e-tamanna karna
sau tariqe hain parastish ke agar zauq ho kuchh
kya baDi baat hai koi use sajda karna
tark-e-mai kufr hai ai 'raaz' mere mashrab mein
ain iman hai sar-e-saghar-o-mina karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.