isi bazar tak bas raushni hai
isī bāzār tak bas raushnī hai
phir is ke ba.ad ik andhī galī hai
har ik āvāz meñ hai ajnabiyyat
har ik chehre pe ik be-chehragī hai
yahāñ rasman hai sab kī ḳhush-libāsī
nazar se be-libāsī jhāñktī hai
hai ghar meñ ḳhāmushī kā ek jañgal
isī jañgal meñ kaalā naag bhī hai
ajab durgandh hai vātāvaran meñ
kisī tālāb meñ machhlī marī hai
hameñ ākāsh par jaanā thā lekin
hamāre paañv meñ rassī bañdhī hai
zarā lahje ko tum shā.ista kar lo
tumhāre pīchhe ik laḌkī khaḌī hai
vo chehrā jo kabhī dekhā nahīñ thā
vo chehrā yaad mujh ko aaj bhī hai
abhī haiñ ḳhvāb giile bādaloñ ke
abhī bārish meñ laḌkī bhīgtī hai
isi bazar tak bas raushni hai
phir is ke baad ek andhi gali hai
har ek aawaz mein hai ajnabiyyat
har ek chehre pe ek be-chehragi hai
yahan rasman hai sab ki KHush-libasi
nazar se be-libasi jhankti hai
hai ghar mein KHamushi ka ek jangal
isi jangal mein kala nag bhi hai
ajab durgandh hai watawaran mein
kisi talab mein machhli mari hai
hamein aakash par jaana tha lekin
hamare panw mein rassi bandhi hai
zara lahje ko tum shaista kar lo
tumhaare pichhe ek laDki khaDi hai
wo chehra jo kabhi dekha nahin tha
wo chehra yaad mujh ko aaj bhi hai
abhi hain KHwab gile baadalon ke
abhi barish mein laDki bhigti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.