isi bana pe agar ki to dosti karungi
isī banā pe agar kī to dostī karūñgī
faqat tumhārī nahīñ, apnī baat bhī karūñgī
is ehtiyāt ke khūñTe se bāñdh mat mujh ko
ki jitnī bas meñ mire hai maiñ zindagī karūñgī
zamīñ pe puure tasalsul se ishq chāhiye hai
ye kaam pahlā kiyā hai ye āḳhirī karūñgī
vo tark-e-pās-e-vafā hī thā dushmanī nahīñ thī
huzūr pās-e-ta.alluq to aaj bhī karūñgī
ye ḳhud-aziyyatī mahmez hai tabī.at ko
so zaḳhm zaḳhm kuredūñgī shā.irī karūñgī
isi bana pe agar ki to dosti karungi
faqat tumhaari nahin, apni baat bhi karungi
is ehtiyat ke khunTe se bandh mat mujh ko
ki jitni bas mein mere hai main zindagi karungi
zamin pe pure tasalsul se ishq chahiye hai
ye kaam pahla kiya hai ye aaKHiri karungi
wo tark-e-pas-e-wafa hi tha dushmani nahin thi
huzur pas-e-talluq to aaj bhi karungi
ye KHud-aziyyati mahmez hai tabiat ko
so zaKHm zaKHm kuredungi shairi karungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.