Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

Faizan Hashmi

isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

Faizan Hashmi

MORE BYFaizan Hashmi

    isī jahāz ke sahrā meñ Duub jaane

    ḳhabar milī thī mujhe ḳhvāb meñ ḳhazāne

    bahut se diida o nādīda ḳhvāb sāmne the

    ik aisī samt thī karvaT mire sirhāne

    maiñ is jagah pe jo ik din palaT ke aayā to

    koī bhī chiiz nahīñ thī mire zamāne

    har ek kaam suhūlat se hotā rahtā thā

    koī ḳhalish nahīñ hotī thī kar dikhāne

    maiñ ik ḳhayāl ḳhema lagā.e baiThā thā

    bahut jagah thī mire paas sar chhupāne

    vo kyā ḳhushī thī jo dil meñ bahāl rahtī thī

    magar vaj.h nahīñ bantī thī muskurāne

    ik aise vaqt meñ vo donoñ ho ga.e ābād

    jahāñ kisī ko ijāzat nahīñ thī aane

    'ajīb dasht thā jo mujh se daad chāhtā thā

    qarīb phaile hue duur ke zamāne

    tamām shahr meñ puurī tarah ḳhamoshī thī

    mujhe paḌī thī koī giit gungunāne

    isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

    KHabar mili thi mujhe KHwab mein KHazane ki

    bahut se dida o nadida KHwab samne the

    ek aisi samt thi karwaT mere sirhane ki

    main is jagah pe jo ek din palaT ke aaya to

    koi bhi chiz nahin thi mere zamane ki

    har ek kaam suhulat se hota rahta tha

    koi KHalish nahin hoti thi kar dikhane ki

    main ek KHayal ka KHema lagae baiTha tha

    bahut jagah thi mere pas sar chhupane ki

    wo kya KHushi thi jo dil mein bahaal rahti thi

    magar wajh nahin banti thi muskurane ki

    ek aise waqt mein wo donon ho gae aabaad

    jahan kisi ko ijazat nahin thi aane ki

    'ajib dasht tha jo mujh se dad chahta tha

    qarib phaile hue dur ke zamane ki

    tamam shahr mein puri tarah KHamoshi thi

    mujhe paDi thi koi git gungunane ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now