isi KHayal isi gham mein Dhal gaya hun main
isi KHayal isi gham mein Dhal gaya hun main
Syed Shafaq Shah Chishti
MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti
isī ḳhayāl isī ġham meñ Dhal gayā huuñ maiñ
badal ga.e ho tumhīñ yā badal gayā huuñ maiñ
tirī nazar kā ye ehsān kaun bhūlegā
ki laġhzishoñ kī badaulat sañbhal gayā huuñ maiñ
gale lagā liyā ḳhud sho.ala-e-mohabbat ko
ajiib baat hai dānista jal gayā huuñ maiñ
nazar zamāne kī chhoḌ aa.ī thī jahāñ mujh ko
ab is maqām se aage nikal gayā huuñ maiñ
mirā vajūd bhī ab hai mirī hayāt pe baar
ajab nahīñ ki zamīñ ko bhī khal gayā huuñ maiñ
jahāñ kisī ne mohabbat se mujh ko yaad kiyā
ba-sad-ḳhulūs vahāñ sar ke bal gayā huuñ maiñ
'shafaq' pasīne pasīne hue vo jaane kyoñ
kabhī jo thaam ke dāman machal gayā huuñ maiñ
isi KHayal isi gham mein Dhal gaya hun main
badal gae ho tumhin ya badal gaya hun main
teri nazar ka ye ehsan kaun bhulega
ki laghzishon ki badaulat sanbhal gaya hun main
gale laga liya KHud shoala-e-mohabbat ko
ajib baat hai danista jal gaya hun main
nazar zamane ki chhoD aai thi jahan mujh ko
ab is maqam se aage nikal gaya hun main
mera wajud bhi ab hai meri hayat pe bar
ajab nahin ki zamin ko bhi khal gaya hun main
jahan kisi ne mohabbat se mujh ko yaad kiya
ba-sad-KHulus wahan sar ke bal gaya hun main
'shafaq' pasine pasine hue wo jaane kyon
kabhi jo tham ke daman machal gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.