isi liye hai musibat ka samna ghar ko
isī liye hai musībat kā sāmnā ghar ko
dikhā rahā hai ye mujh ko maiñ ā.īna ghar ko
ik ek juzv kā inkār karnā paḌtā hai
miyāñ mazāq nahīñ hotā chhoḌnā ghar ko
musalsal ek sukūt aur musalsal ek sukūt
sikhā rahā huuñ musībat meñ bolnā ghar ko
parinde rang jamāne ko ab nahīñ aate
kahā bhī thā ki mire ba.ad dekhnā ghar ko
phir is ke ba.ad kahīñ ke nahīñ rahoge tum
hamārī tarah ziyāda na sochnā ghar ko
isi liye hai musibat ka samna ghar ko
dikha raha hai ye mujh ko main aaina ghar ko
ek ek juzw ka inkar karna paDta hai
miyan mazaq nahin hota chhoDna ghar ko
musalsal ek sukut aur musalsal ek sukut
sikha raha hun musibat mein bolna ghar ko
parinde rang jamane ko ab nahin aate
kaha bhi tha ki mere baad dekhna ghar ko
phir is ke baad kahin ke nahin rahoge tum
hamari tarah ziyaada na sochna ghar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.