isi liye hain yahan waswase bahut sare
isī liye haiñ yahāñ vasvase bahut saare
mirī zabān pe haiñ zā.iqe bahut saare
bas ik sanam thā magar mas.ale bahut saare
guzishta daur meñ the valvale bahut saare
hayāt kahne lagī kuchh nahīñ rahā baaqī
magar qazā ne diye zāviye bahut saare
maiñ ban gayā thā koī jo maiñ kabhī thā hī nahīñ
na.ī qabā ne diye hausle bahut saare
qabā pahan ke mire jism kī koī merā
rafīq lene lagā faisle bahut saare
isi liye hain yahan waswase bahut sare
meri zaban pe hain zaiqe bahut sare
bas ek sanam tha magar masale bahut sare
guzishta daur mein the walwale bahut sare
hayat kahne lagi kuchh nahin raha baqi
magar qaza ne diye zawiye bahut sare
main ban gaya tha koi jo main kabhi tha hi nahin
nai qaba ne diye hausle bahut sare
qaba pahan ke mere jism ki koi mera
rafiq lene laga faisle bahut sare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.