isi liye hamein ehsas-e-bewafai nahin
isī liye hameñ ehsās-e-bevafā.ī nahīñ
hamāre paas haiñ kangan koī kalā.ī nahīñ
yahī sabab hai ki be-rang ho ga.e sab ḳhvāb
hamārī āñkhoñ meñ kājal thā raushnā.ī nahīñ
mohabbatoñ ke safar meñ mohabbatoñ ke sivā
hamāre paas koī dūsrī kamā.ī nahīñ
us ik nigāh kā tarz-e-bayān aisā thā
kisī kī baat hamārī samajh meñ aa.ī nahīñ
chamak hai us ke har ik misra-e-badan pe magar
mirī ġhazal ko koī detā muñh-dikhā.ī nahīñ
ham apne ahd ke suqrāt haiñ hamāre yahāñ
koī bhī guftugū hogī havā-havā.ī nahīñ
vahāñ pahuñch ke bhī hāsil huā hai 'faiz' mujhe
jahāñ kisī se mirī koī āshnā.ī nahīñ
isi liye hamein ehsas-e-bewafai nahin
hamare pas hain kangan koi kalai nahin
yahi sabab hai ki be-rang ho gae sab KHwab
hamari aankhon mein kajal tha raushnai nahin
mohabbaton ke safar mein mohabbaton ke siwa
hamare pas koi dusri kamai nahin
us ek nigah ka tarz-e-bayan aisa tha
kisi ki baat hamari samajh mein aai nahin
chamak hai us ke har ek misra-e-badan pe magar
meri ghazal ko koi deta munh-dikhai nahin
hum apne ahd ke suqraat hain hamare yahan
koi bhi guftugu hogi hawa-hawai nahin
wahan pahunch ke bhi hasil hua hai 'faiz' mujhe
jahan kisi se meri koi aashnai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.