isi liye to musafir tu sogwar nahin
isī liye to musāfir tū sogvār nahīñ
ki tū ne qāfile dekheñ haiñ par ġhubār nahīñ
nahīñ ye baat nahīñ hai kī tujh se pyaar nahīñ
maiñ kyā karūñ ki mujhe ḳhud pe e.atibār nahīñ
lagā huuñ haath jo tere to ab sañbhāl mujhe
maiñ ek baar hī miltā huuñ baar baar nahīñ
mujhe kuredne vaalo maiñ ek sahrā huuñ
ki mujh se ret hī niklegī ābshār nahīñ
ġhamoñ se rishta banā dostī nibhā un se
dukhoñ ko paal mirī jaan un ko maar nahīñ
mire qubūl pe us ne qubūl kah to diyā
par ek baar kahā us ne tiin baar nahīñ
jahāñ tū bichhḌā vahāñ giit baj rahā thā yahī
mire nasīb meñ ai dost terā pyaar nahīñ
isi liye to musafir tu sogwar nahin
ki tu ne qafile dekhen hain par ghubar nahin
nahin ye baat nahin hai ki tujh se pyar nahin
main kya karun ki mujhe KHud pe eatibar nahin
laga hun hath jo tere to ab sanbhaal mujhe
main ek bar hi milta hun bar bar nahin
mujhe kuredne walo main ek sahra hun
ki mujh se ret hi niklegi aabshaar nahin
ghamon se rishta bana dosti nibha un se
dukhon ko pal meri jaan un ko mar nahin
mere qubul pe us ne qubul kah to diya
par ek bar kaha us ne tin bar nahin
jahan tu bichhDa wahan git baj raha tha yahi
mere nasib mein ai dost tera pyar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.