isi liye to takallum ka silsila nahin tha
isī liye to takallum kā silsila nahīñ thā
vo merā ban to gayā thā mirā huā nahīñ thā
tamām-umr sharīk-e-safar rahā vahī shaḳhs
qadam milā ke kabhī saath jo chalā nahīñ thā
maiñ dūsroñ kī hañsī to bahut uḌātā thā
ḳhud apne-āp pe lekin kabhī hañsā nahīñ thā
maiñ kaise kah duuñ ki vo shaḳhs mar gayā hai aaj
vo shaḳhs saañs to letā thā par jiyā nahīñ thā
kisī kī baat karūñ us kā zikr chhiḌ jaa.e
vo duur rah ke bhī mujh se kabhī judā nahīñ thā
mire ḳhudā tujhe ilzām de nahīñ saktā
ki sach to ye hai mirā tujh pe aasrā nahīñ thā
isi liye to takallum ka silsila nahin tha
wo mera ban to gaya tha mera hua nahin tha
tamam-umr sharik-e-safar raha wahi shaKHs
qadam mila ke kabhi sath jo chala nahin tha
main dusron ki hansi to bahut uData tha
KHud apne-ap pe lekin kabhi hansa nahin tha
main kaise kah dun ki wo shaKHs mar gaya hai aaj
wo shaKHs sans to leta tha par jiya nahin tha
kisi ki baat karun us ka zikr chhiD jae
wo dur rah ke bhi mujh se kabhi juda nahin tha
mere KHuda tujhe ilzam de nahin sakta
ki sach to ye hai mera tujh pe aasra nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.