isi liye to ujalon se dosti hui hai
isī liye to ujāloñ se dostī huī hai
ki tere aañkh jhapakne se raushnī huī hai
zarūr ishq kī hiddat se ye namī huī hai
ki ghaas aap ke chalne se reshmī huī hai
hameñ yaqīn hai is baaġh ke nahīñ ho tum
ki ham ne chiḌiyoñ kī ta.adād tak ginī huī hai
usī kā haq hai ki dīvān us ke naam karūñ
vo jis kī yaad meñ din raat shā.irī huī hai
maiñ ek nuqte pe markūz ho gayā huuñ tabhī
zamīn ghuum rahī thī par ab thamī huī hai
vo ham-mizāj the lekin kabhī qarīb na the
qarīb ho ga.e haiñ jab se dushmanī huī hai
ye log yūñhī ġhizāoñ ko dosh dete haiñ
hamāre ḳhuuñ meñ mohabbat kī bas kamī huī hai
zarā sī der meñ dāman kā haal dekheñge
abhī babūl ke kāñToñ se dostī huī hai
tumhārī aañkh kā kājal bikhar gayā hai kahīñ
tabhī to shaam achānak se surma.ī huī hai
samajh chukā huuñ maiñ lahje kī silvaTeñ 'adnān'
so jāntā huuñ mulāqāt āḳhrī huī hai
isi liye to ujalon se dosti hui hai
ki tere aankh jhapakne se raushni hui hai
zarur ishq ki hiddat se ye nami hui hai
ki ghas aap ke chalne se reshmi hui hai
hamein yaqin hai is bagh ke nahin ho tum
ki hum ne chiDiyon ki tadad tak gini hui hai
usi ka haq hai ki diwan us ke nam karun
wo jis ki yaad mein din raat shairi hui hai
main ek nuqte pe markuz ho gaya hun tabhi
zamin ghum rahi thi par ab thami hui hai
wo ham-mizaj the lekin kabhi qarib na the
qarib ho gae hain jab se dushmani hui hai
ye log yunhi ghizaon ko dosh dete hain
hamare KHun mein mohabbat ki bas kami hui hai
zara si der mein daman ka haal dekhenge
abhi babul ke kanTon se dosti hui hai
tumhaari aankh ka kajal bikhar gaya hai kahin
tabhi to sham achanak se surmai hui hai
samajh chuka hun main lahje ki silwaTen 'adnan'
so jaanta hun mulaqat aaKHri hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.