isi mamure mein kuchh aise hain saudai bhi
isī māmūre meñ kuchh aise haiñ saudā.ī bhī
jin ke kaam aa na sakī terī masīhā.ī bhī
shukr hai aap ko mere liye zahmat na huī
lījiye kaT ga.ī merī shab-e-tanhā.ī bhī
baḌh sakī jis se na añgusht-ba-lab nādānī
usī manzil meñ nazar aatī hai dānā.ī bhī
allāh allāh re girāñ-jānī-e-bīmār-e-vafā
nā-tavānī bhī hai hairān tavānā.ī bhī
vo bhī tinkā na milā haath baḌhāyā thā jidhar
chhuT gayā haath se dāmān-e-shakebā.ī bhī
ham yahīñ baiThe rahe hasrat-e-pā-bos liye
chuum kar parda-e-dar bād-e-sabā aa.ī bhī
shā.irī ik dil-e-marhūm kā mātam hī nahīñ
chāhiye is meñ 'razā' fikr kī gahrā.ī bhī
isi mamure mein kuchh aise hain saudai bhi
jin ke kaam aa na saki teri masihai bhi
shukr hai aap ko mere liye zahmat na hui
lijiye kaT gai meri shab-e-tanhai bhi
baDh saki jis se na angusht-ba-lab nadani
usi manzil mein nazar aati hai danai bhi
allah allah re giran-jaani-e-bimar-e-wafa
na-tawani bhi hai hairan tawanai bhi
wo bhi tinka na mila hath baDhaya tha jidhar
chhuT gaya hath se daman-e-shakebai bhi
hum yahin baiThe rahe hasrat-e-pa-bos liye
chum kar parda-e-dar baad-e-saba aai bhi
shairi ek dil-e-marhum ka matam hi nahin
chahiye is mein 'raza' fikr ki gahrai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.