isi sabab nahin khulti meri zaban logo
isī sabab nahīñ khultī mirī zabāñ logo
na sun sakoge kabhī dil kī dāstāñ logo
vo kaun hai jise dil se lagā ke pyaar kareñ
shu.ūr-e-zauq-e-mohabbat rahā kahāñ logo
tumhāre rahbar-e-manzil qarīb hī hoñge
zarā talāsh karo apne darmiyāñ logo
ab apne apne nasheman kā hai ḳhudā-hāfiz
chamak rahī haiñ zamāne meñ bijliyāñ logo
chalo ki dasht meñ kāñToñ se dil ko bahlā leñ
maqām-e-amn nahīñ sehn-e-gulsitāñ logo
hamesha rahzan-o-rahbar ke farq ko jaano
vagarna koshish-e-manzil hai rā.egāñ logo
mire junūn-e-mohabbat kī dāstāneñ haiñ
ye chand chāk-e-garebāñ kī dhajjiyāñ logo
asīr-e-dard giraftār-e-ġham magar fankār
tumhāre shahr meñ hai 'tāj' naġhma-ḳhvāñ logo
isi sabab nahin khulti meri zaban logo
na sun sakoge kabhi dil ki dastan logo
wo kaun hai jise dil se laga ke pyar karen
shuur-e-zauq-e-mohabbat raha kahan logo
tumhaare rahbar-e-manzil qarib hi honge
zara talash karo apne darmiyan logo
ab apne apne nasheman ka hai KHuda-hafiz
chamak rahi hain zamane mein bijliyan logo
chalo ki dasht mein kanTon se dil ko bahla len
maqam-e-amn nahin sehn-e-gulsitan logo
hamesha rahzan-o-rahbar ke farq ko jaano
wagarna koshish-e-manzil hai raegan logo
mere junun-e-mohabbat ki dastanen hain
ye chand chaak-e-gareban ki dhajjiyan logo
asir-e-dard giraftar-e-gham magar fankar
tumhaare shahr mein hai 'taj' naghma-KHwan logo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.