isi sabab se KHizan hum ko nagawar nahin
isī sabab se ḳhizāñ ham ko nāgavār nahīñ
bahār bhī to hamāre liye bahār nahīñ
havas kī dhuup meñ tapte haiñ ġhuncha-e-nauras
chaman meñ koī shajar aaj sāya-dār nahīñ
na jaane kyā hue ham-rāhiyān-e-manzil-e-shauq
hamārī hadd-e-nazar tak koī ġhubār nahīñ
junūn-e-ishq ke anjām kī ḳhabar kyā ho
abhī to apnā garebāñ bhī tār-tār nahīñ
ḳhulūs uTh gayā kuchh is tarah zamāne se
ki jin pe naaz thā ab vo bhī ġham-gusār nahīñ
ye dard-o-ranj-o-alam kam haiñ kyā qayāmat se
hameñ mazīd qayāmat kā intizār nahīñ
hameñ tū aaj hī āzād kar de ai sayyād
ki ab hameñ tire vā'doñ pe e'tibār nahīñ
guzār leñge yūñhī apnī zindagī 'sābir'
kisī ke lutf-o-karam par hī inhisār nahīñ
isi sabab se KHizan hum ko nagawar nahin
bahaar bhi to hamare liye bahaar nahin
hawas ki dhup mein tapte hain ghuncha-e-nauras
chaman mein koi shajar aaj saya-dar nahin
na jaane kya hue ham-rahiyan-e-manzil-e-shauq
hamari hadd-e-nazar tak koi ghubar nahin
junun-e-ishq ke anjam ki KHabar kya ho
abhi to apna gareban bhi tar-tar nahin
KHulus uTh gaya kuchh is tarah zamane se
ki jin pe naz tha ab wo bhi gham-gusar nahin
ye dard-o-ranj-o-alam kam hain kya qayamat se
hamein mazid qayamat ka intizar nahin
hamein tu aaj hi aazad kar de ai sayyaad
ki ab hamein tere wa'don pe e'tibar nahin
guzar lenge yunhi apni zindagi 'sabir'
kisi ke lutf-o-karam par hi inhisar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.