isi sabab se to hum log pesh-o-pas mein hain
isī sabab se to ham log pesh-o-pas meñ haiñ
usī se bair bhī hai aur usī ke bas meñ haiñ
qafas meñ the to gumāñ thā khulī fazāoñ kā
khulī fazā meñ ye ehsās ham qafas meñ haiñ
ye aur baat ki ham fā.eda uThā na sakeñ
kuchh aise log hamārī bhī dastaras meñ haiñ
har ek shahr kī kaayā palaT ga.ī lekin
har ek shahr meñ baaqī purānī rasmeñ haiñ
haqīqatoñ se nigāheñ milā.iye 'iqbāl'
sunā hai aap to chālīsveñ baras meñ haiñ
isi sabab se to hum log pesh-o-pas mein hain
usi se bair bhi hai aur usi ke bas mein hain
qafas mein the to guman tha khuli fazaon ka
khuli faza mein ye ehsas hum qafas mein hain
ye aur baat ki hum faeda uTha na saken
kuchh aise log hamari bhi dastaras mein hain
har ek shahr ki kaya palaT gai lekin
har ek shahr mein baqi purani rasmen hain
haqiqaton se nigahen milaiye 'iqbaal'
suna hai aap to chaaliswen baras mein hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.