isi tarah uga tha aur isi tarah se Dhal gaya
isī tarah ugā thā aur isī tarah se Dhal gayā
ye aaj bhī yuuñ hī gayā kī jis tarah se kal gayā
jo mahv-e-fikr-e-zīst haiñ unheñ bhalā ye kyā ḳhabar
tulūa maah kab huā kab āftāb Dhal gayā
tamām ahl-e-bazm lab-kushā se ho gayā haiñ kyuuñ
ye āḳhir aisā kyā mirī zabān se nikal gayā
jo kar rahā thā āftāb ko nichoḌne kī baat
bas ik shuā ke lams se vo mom se pighal gayā
jo pūchhā ik faqīr se safar kā āḳhirī maqām
qadam kī ḳhaak uThā ke vo mirī jabīñ pe mal gayā
kisī kī aah zehn par asar kuchh aisā kar ga.ī
mirā tamām dard-e-dil suḳhan meñ hī badal gayā
tū tark nisbateñ nasīb se to kar rahā hai par
bulandiyoñ se paañv gar kabhī tirā phisal gayā
hai kis qadar mizāj udaas pattharoñ kā dekhiye
koī to hai jo rāste pe gir ke phir sambhal gayā
malāl kī to duur tak umiid mujh ko kyā rahe
jab us ke zehn se mirā ḳhayāl hī nikal gayā
isi tarah uga tha aur isi tarah se Dhal gaya
ye aaj bhi yun hi gaya ki jis tarah se kal gaya
jo mahw-e-fikr-e-zist hain unhen bhala ye kya KHabar
tulua mah kab hua kab aaftab Dhal gaya
tamam ahl-e-bazm lab-kusha se ho gaya hain kyun
ye aaKHir aisa kya meri zaban se nikal gaya
jo kar raha tha aaftab ko nichoDne ki baat
bas ek shua ke lams se wo mom se pighal gaya
jo puchha ek faqir se safar ka aaKHiri maqam
qadam ki KHak uTha ke wo meri jabin pe mal gaya
kisi ki aah zehn par asar kuchh aisa kar gai
mera tamam dard-e-dil suKHan mein hi badal gaya
tu tark nisbaten nasib se to kar raha hai par
bulandiyon se panw gar kabhi tera phisal gaya
hai kis qadar mizaj udas pattharon ka dekhiye
koi to hai jo raste pe gir ke phir sambhal gaya
malal ki to dur tak umid mujh ko kya rahe
jab us ke zehn se mera KHayal hi nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.