isi ummid par hum shahr se bahar nikal aae
isī ummīd par ham shahr se bāhar nikal aa.e
ki is se ġhāliban sūrat koī behtar nikal aa.e
har ik manzar se bil-āḳhir ka.ī manzar nikal aa.e
hamāre hausloñ ke jab se bāl-o-par nikal aa.e
hamārī sachchī bātoñ kā koī haamī nahīñ Thahrā
tumhārī jhuuT kī tasdīq meñ lashkar nikal aa.e
ḳhushī kā bhī bharam rakkhā na ashkoñ ne sar-e-mahfil
tavaqqo to na thī in se magar bāhar nikal aa.e
abhī to aable maazī ke bhī phūTe nahīñ the 'shān'
ki mustaqbil ke itne zaḳhm phir dil par nikal aa.e
isi ummid par hum shahr se bahar nikal aae
ki is se ghaaliban surat koi behtar nikal aae
har ek manzar se bil-aKHir kai manzar nikal aae
hamare hauslon ke jab se baal-o-par nikal aae
hamari sachchi baaton ka koi hami nahin Thahra
tumhaari jhuT ki tasdiq mein lashkar nikal aae
KHushi ka bhi bharam rakkha na ashkon ne sar-e-mahfil
tawaqqo to na thi in se magar bahar nikal aae
abhi to aable mazi ke bhi phuTe nahin the 'shan'
ki mustaqbil ke itne zaKHm phir dil par nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.