islah-e-ahl-e-hosh ka yara nahin hamein
islāh-e-ahl-e-hosh kā yaarā nahīñ hameñ
is qaum par ḳhudā ne utārā nahīñ hameñ
DhūñDeñ kahāñ sahar ko tumheñ ai ġhazāl-e-shab
ab naam bhī to yaad tumhārā nahīñ hameñ
ab kyā sañvar sakeñge ham āvārgān-e-ishq
sadiyoñ ke jabr ne to sañvārā nahīñ hameñ
hāthoñ meñ hai hamāre garebān-e-kā.enāt
lekin abhī junūñ kā ishārā nahīñ hameñ
DhūñDo koī na.ī ravish-e-shā.irī 'zafar'
uslūb dūsroñ kā gavārā nahīñ hameñ
islah-e-ahl-e-hosh ka yara nahin hamein
is qaum par KHuda ne utara nahin hamein
DhunDen kahan sahar ko tumhein ai ghazal-e-shab
ab nam bhi to yaad tumhaara nahin hamein
ab kya sanwar sakenge hum aawargan-e-ishq
sadiyon ke jabr ne to sanwara nahin hamein
hathon mein hai hamare gareban-e-kaenat
lekin abhi junun ka ishaara nahin hamein
DhunDo koi nai rawish-e-shairi 'zafar'
uslub dusron ka gawara nahin hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.