ism paDha aur jism se uTh kar ishq uThaya
ism paḌhā aur jism se uTh kar ishq uThāyā
dil darvesh ne mast qalandar ishq uThāyā
farsh pe arsh ke baad mukarrar ishq uThāyā
ruuh ne ab ke jism ke andar ishq uThāyā
shā.ir suufī falsafa-dān valī paiġhambar
sab ne apne zarf barābar ishq uThāyā
niiñd se jaage sar par duniyā-dārī Dhoī
aañkh lagī aur ḳhvāb ke andar ishq uThāyā
us ko ishq ḳhud aap uThā kar le gayā aage
jis ne himmat kī aur baḌh kar ishq uThāyā
sachchā jhūTā ḳhaam haqīqī aur majāzī
lekin ham ne sab se behtar ishq uThāyā
jis din sab apne hāthoñ meñ naame laa.e
ham ne to us din bhī sar par ishq uThāyā
hazrat-e-qais ne ḳhud aa kar gaThḌī uThvā.ī
maiñ ne jab apne kāñdhoñ par ishq uThāyā
ek badan do jism huā thā jis ḳhvāhish par
us ḳhvāhish ne paikar paikar ishq uThāyā
ye dīvāngī dīvane-pan se nahīñ aa.ī
ham ne 'ahmad' soch-samajh kar ishq uThāyā
ism paDha aur jism se uTh kar ishq uThaya
dil darwesh ne mast qalandar ishq uThaya
farsh pe arsh ke baad mukarrar ishq uThaya
ruh ne ab ke jism ke andar ishq uThaya
shair sufi falsafa-dan wali paighambar
sab ne apne zarf barabar ishq uThaya
nind se jage sar par duniya-dari Dhoi
aankh lagi aur KHwab ke andar ishq uThaya
us ko ishq KHud aap uTha kar le gaya aage
jis ne himmat ki aur baDh kar ishq uThaya
sachcha jhuTa KHam haqiqi aur majazi
lekin hum ne sab se behtar ishq uThaya
jis din sab apne hathon mein name lae
hum ne to us din bhi sar par ishq uThaya
hazrat-e-qais ne KHud aa kar gaThDi uThwai
main ne jab apne kandhon par ishq uThaya
ek badan do jism hua tha jis KHwahish par
us KHwahish ne paikar paikar ishq uThaya
ye diwangi diwane-pan se nahin aai
hum ne 'ahmad' soch-samajh kar ishq uThaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.