ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah
ism saare bhuul baiThā sho.abda-gar kis tarah
jam' honā hai mujhe ab ke bikhar kar kis tarah
maiñ du'ā ke par lagā kar bhī pahuñch paatā nahīñ
āsmāñ uThtā chalā jaatā hai uupar kis tarah
vāhime kaise yaqīñ ban kar lahū meñ rach ga.e
zalzale phaile mirī miTTī ke andar kis tarah
vasvasoñ ne aan gherā hai mujhe phir kis liye
rakh diyā maiñ ne qadam mauj-e-havā par kis tarah
dekhte haiñ sab 'munavvar' sochtā koī nahīñ
'aks rah jaatā hai ā.īne ke andar kis tarah
ism sare bhul baiTha shoabda-gar kis tarah
jam' hona hai mujhe ab ke bikhar kar kis tarah
main du'a ke par laga kar bhi pahunch pata nahin
aasman uThta chala jata hai upar kis tarah
wahime kaise yaqin ban kar lahu mein rach gae
zalzale phaile meri miTTi ke andar kis tarah
waswason ne aan ghera hai mujhe phir kis liye
rakh diya main ne qadam mauj-e-hawa par kis tarah
dekhte hain sab 'munawwar' sochta koi nahin
'aks rah jata hai aaine ke andar kis tarah
- Book : Urdu Adab (Pg. 65)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.