israr-o-inkisar se wo man to gaya
isrār-o-inkisār se vo maan to gayā
lekin maiñ is tarah se use jaan to gayā
kī us ne go talāfī-e-māfāt bārhā
lekin jo us pe maan thā vo maan to gayā
ye baat aur hai vo chamak aañkh meñ na thī
itnā bahut hai mil ke vo pahchān to gayā
achchhā huā vo chashm-e-karam ho ga.ī ḳhafā
sar se ye roz roz kā ehsān to gayā
ik naqd-e-jāñ hai aur pas-e-gard-e-rahguzār
baiThe haiñ pā-rikāb ki sāmān to gayā
phailā ke paañv baiTh farāġh-e-hayāt ab
ghar se tire ye roz kā mehmān to gayā
duniyā milī ki diin par itnā zarūr hai
is kashmakash meñ 'shaiḳh' kā īmān to gayā
israr-o-inkisar se wo man to gaya
lekin main is tarah se use jaan to gaya
ki us ne go talafi-e-mafat barha
lekin jo us pe man tha wo man to gaya
ye baat aur hai wo chamak aankh mein na thi
itna bahut hai mil ke wo pahchan to gaya
achchha hua wo chashm-e-karam ho gai KHafa
sar se ye roz roz ka ehsan to gaya
ek naqd-e-jaan hai aur pas-e-gard-e-rahguzar
baiThe hain pa-rikab ki saman to gaya
phaila ke panw baiTh faragh-e-hayat ab
ghar se tere ye roz ka mehman to gaya
duniya mili ki din par itna zarur hai
is kashmakash mein 'shaiKH' ka iman to gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.