Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

istiqbaal-e-nur kiya rang-ba-rang saliqon se

Yasir Iqbal

istiqbaal-e-nur kiya rang-ba-rang saliqon se

Yasir Iqbal

MORE BYYasir Iqbal

    istiqbāl-e-nūr kiyā rang-ba-rang salīqoñ se

    ham ne barkhā devī ko dekhā saat tarīqoñ se

    nam āñkhoñ nīl-gagan pal bhar meñ ghanghor huā

    ab pallū rusvā hogā āñsuoñ par tahqīqoñ se

    khaliyānoñ pīlāhaT jab chehroñ tak phail ga.ī

    ThanDe dil bhī ulajh paḌe shahd-samān rafīqoñ se

    kaaTh bastī meñ har-sū harā harā to dikhtā thā

    kaun kahāñ tak taaza huā pūchheñ kin siddīqoñ se

    pairahanoñ laalī se laal kahāñ lahrānā thā

    ham ne ThanDī aag chakhī hazar kiyā zindīqoñ se

    jab jab jāmunī hoñToñ ne ismoñ ko ilhām kiyā

    ham ne kīsa-e-baḳht bharā na.ī na.ī taḳhlīqoñ se

    rut ke shoḳh parāñde se jab do rang uḌā baiThī

    ham ne barkhā devī ko dekhā pāñch tarīqoñ se

    istiqbaal-e-nur kiya rang-ba-rang saliqon se

    hum ne barkha dewi ko dekha sat tariqon se

    nam aankhon ka nil-gagan pal bhar mein ghanghor hua

    ab pallu ruswa hoga aansuon par tahqiqon se

    khaliyanon ki pilahaT jab chehron tak phail gai

    ThanDe dil bhi ulajh paDe shahd-saman rafiqon se

    kaTh ki basti mein har-su hara hara to dikhta tha

    kaun kahan tak taza hua puchhen kin siddiqon se

    pairahanon ki lali se lal kahan lahrana tha

    hum ne ThanDi aag chakhi hazar kiya zindiqon se

    jab jab jamuni honTon ne ismon ko ilham kiya

    hum ne kisa-e-baKHt bhara nai nai taKHliqon se

    rut ke shoKH parande se jab do rang uDa baiThi

    hum ne barkha dewi ko dekha panch tariqon se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now