itna bhi ho na zauq-e-tajassus nigah mein
itnā bhī ho na zauq-e-tajassus nigāh meñ
haa.il raheñ ḳhud aap hamīñ apnī raah meñ
hone ko kyā nahīñ hai tumhārī nigāh meñ
lekin vo ek chiiz jo hotī hai aah meñ
tauba kī rāhateñ nahīñ mere gunāh meñ
kis darja aa ga.ī hai bulandī nigāh meñ
hālāñki manzileñ bhī na.ī azm bhī nayā
milte haiñ mere naqsh-e-qadam mujh ko raah meñ
bas nuqta-e-nigāh badalne kī der thī
ab mutma.in huuñ zindagī-e-ashk-o-āh meñ
dil ko nashāt-e-ġham se bhī rakhte haiñ duur ham
manzil pe yuuñ khaḌe haiñ ki jaise hoñ raah meñ
tum ne to mujh ko apnī nazar se girā diyā
maiñ ho gayā buland ḳhud apnī nigāh meñ
itna bhi ho na zauq-e-tajassus nigah mein
hail rahen KHud aap hamin apni rah mein
hone ko kya nahin hai tumhaari nigah mein
lekin wo ek chiz jo hoti hai aah mein
tauba ki rahaten nahin mere gunah mein
kis darja aa gai hai bulandi nigah mein
haalanki manzilen bhi nai azm bhi naya
milte hain mere naqsh-e-qadam mujh ko rah mein
bas nuqta-e-nigah badalne ki der thi
ab mutmain hun zindagi-e-ashk-o-ah mein
dil ko nashat-e-gham se bhi rakhte hain dur hum
manzil pe yun khaDe hain ki jaise hon rah mein
tum ne to mujh ko apni nazar se gira diya
main ho gaya buland KHud apni nigah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.