itna bhi wo aam nahin
itnā bhī vo aam nahīñ
sāda-pan ilzām nahīñ
bik jaa.eñ be-mol kabhī
vaise bhī dil daam nahīñ
yūñhī thā bas dekh rahā
tujh se koī kaam nahīñ
maiñ ne pī kar dekh liyā
us ke jaisā jaam nahīñ
tāza-kārī dekh mire
sheroñ meñ ib.hām nahīñ
itna bhi wo aam nahin
sada-pan ilzam nahin
bik jaen be-mol kabhi
waise bhi dil dam nahin
yunhi tha bas dekh raha
tujh se koi kaam nahin
main ne pi kar dekh liya
us ke jaisa jam nahin
taza-kari dekh mere
sheron mein ibham nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.