itna chup-chap talluq pe zawal aaya tha
itnā chup-chāp ta.alluq pe zavāl aayā thā
dil hī royā thā na chehre pe malāl aayā thā
sub.h-dam mujh ko na pahchān sakā ā.īna
maiñ shab-e-ġham kī masāfat se niDhāl aayā thā
phir Tapaktī rahī siine pe ye shabnam kaisī
yaad aa.ī na kabhī terā ḳhayāl aayā thā
kahkashāñ mere darīchoñ meñ utar aa.ī thī
mere sāġhar meñ tirā aks-e-jamāl aayā thā
ab na vo zauq-e-vafā hai na mizāj-e-ġham hai
hū-ba-hū garche koī terī misāl aayā thā
itna chup-chap talluq pe zawal aaya tha
dil hi roya tha na chehre pe malal aaya tha
subh-dam mujh ko na pahchan saka aaina
main shab-e-gham ki masafat se niDhaal aaya tha
phir Tapakti rahi sine pe ye shabnam kaisi
yaad aai na kabhi tera KHayal aaya tha
kahkashan mere darichon mein utar aai thi
mere saghar mein tera aks-e-jamal aaya tha
ab na wo zauq-e-wafa hai na mizaj-e-gham hai
hu-ba-hu garche koi teri misal aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.