itna ehsas to de palne wale mujhko
itnā ehsās to de pālne vaale mujh ko
maiñ sambhal jā.ūñ agar koī sambhāle mujh ko
be-sahārā huuñ kisī vaqt bhī gir jā.ūñgā
apnī dīvār meñ jo chāhe milā le mujh ko
Dūbne se jo bachā.egā vo kyā pā.egā
maiñ abhī laash nahīñ kaun nikāle mujh ko
maiñ payambar to nahīñ thā ki amaañ pā jaatā
kyā chhupāte bhī kahīñ makḌī ke jaale mujh ko
maiñ bhī raushan huuñ magar sub.h ke taare kī tarah
chand lamhoñ meñ Dubo deñge ujāle mujh ko
kyā zarūrī hai ki dushman hī ke sar jaa.e azaab
kar deñ ahbāb hī qātil ke havāle mujh ko
tujh se hālāt ke patthar na sahe jā.eñge
apne ehsās kā ā.īna banā le mujh ko
itna ehsas to de palne wale mujh ko
main sambhal jaun agar koi sambhaale mujh ko
be-sahaara hun kisi waqt bhi gir jaunga
apni diwar mein jo chahe mila le mujh ko
Dubne se jo bachaega wo kya paega
main abhi lash nahin kaun nikale mujh ko
main payambar to nahin tha ki aman pa jata
kya chhupate bhi kahin makDi ke jale mujh ko
main bhi raushan hun magar subh ke tare ki tarah
chand lamhon mein Dubo denge ujale mujh ko
kya zaruri hai ki dushman hi ke sar jae azab
kar den ahbab hi qatil ke hawale mujh ko
tujh se haalat ke patthar na sahe jaenge
apne ehsas ka aaina bana le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.