itna hai zindagi ka talluq KHushi ke sath
itnā hai zindagī kā ta.alluq ḳhushī ke saath
ek ajnabī ho jaise kisī ajnabī ke saath
sūraj ufuq tak aate hī gahnā gayā yahāñ
kuchh tīrgī bhī baḌhtī rahī raushnī ke saath
hukkām kā sulūk vahī hai avaam se
ibn-e-ziyād kā thā jo ibn-e-alī ke saath
allāh re taġhāful-e-chāra-garān-e-vaqt
sunte haiñ dil kī baat magar be-dilī ke saath
tabqoñ meñ rañg-o-nasl ke uljhā ke rakh diyā
ye zulm aadmī ne kiyā aadmī ke saath
itna hai zindagi ka talluq KHushi ke sath
ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke sath
suraj ufuq tak aate hi gahna gaya yahan
kuchh tirgi bhi baDhti rahi raushni ke sath
hukkaam ka suluk wahi hai awam se
ibn-e-ziyaad ka tha jo ibn-e-ali ke sath
allah re taghaful-e-chaara-garan-e-waqt
sunte hain dil ki baat magar be-dili ke sath
tabqon mein rang-o-nasl ke uljha ke rakh diya
ye zulm aadmi ne kiya aadmi ke sath
- Book : Shab Charagh (Pg. 27)
- Author : Bakhtiyar Ziya
- Publication : Markaz-e-adab (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.