itna hasin jo kah diya
itnā hasīñ jo kah diyā
tum ho nahīñ jo kah diyā
kahte to ho ki shukr hai
kyā hai yaqīñ jo kah diyā
yūñhī nahīñ jo sun liyā
yūñhī nahīñ jo kah diyā
kyā vo bhī likkhā jā.egā
kuchh bhī kaheñ jo kah diyā
ab rahnā ban kar āsmāñ
mujh ko zamīñ jo kah diyā
tum ne bhulā dī baat par
ham haiñ vahīñ jo kah diyā
itna hasin jo kah diya
tum ho nahin jo kah diya
kahte to ho ki shukr hai
kya hai yaqin jo kah diya
yunhi nahin jo sun liya
yunhi nahin jo kah diya
kya wo bhi likkha jaega
kuchh bhi kahen jo kah diya
ab rahna ban kar aasman
mujh ko zamin jo kah diya
tum ne bhula di baat par
hum hain wahin jo kah diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.