itna hi sahaara dil-e-nakaam bahut hai
itnā hī sahārā dil-e-nākām bahut hai
ab un kā tasavvur hī sar-e-shām bahut hai
ab koī zarūrat hai davā kī na duā kī
jis haal meñ huuñ maiñ mujhe ārām bahut hai
girya se hai āġhāz-e-amal bazm-e-jahāñ meñ
insān ko andesha-e-anjām bahut hai
kam-zarf haiñ karte haiñ jo piine se takalluf
saaqī mujhe ye durd-e-tah-e-jām bahut hai
ubhrī nahīñ dil meñ kabhī ummīd-e-karam bhī
terā ye karam gardish-e-ayyām bahut hai
maiñ naam na lūñgā kabhī fariyād-o-fuġhāñ kā
jiitā huuñ mohabbat meñ yahī kaam bahut hai
ham jaate haiñ pyāse tire mai-ḳhāne se saaqī
sunte to ye the terā karam aam bahut hai
ahbāb kareñ ab na 'sa.īd' is meñ izāfa
dushman se jo miltā hai vo in.aam bahut hai
itna hi sahaara dil-e-nakaam bahut hai
ab un ka tasawwur hi sar-e-sham bahut hai
ab koi zarurat hai dawa ki na dua ki
jis haal mein hun main mujhe aaram bahut hai
girya se hai aaghaz-e-amal bazm-e-jahan mein
insan ko andesha-e-anjam bahut hai
kam-zarf hain karte hain jo pine se takalluf
saqi mujhe ye durd-e-tah-e-jam bahut hai
ubhri nahin dil mein kabhi ummid-e-karam bhi
tera ye karam gardish-e-ayyam bahut hai
main nam na lunga kabhi fariyaad-o-fughan ka
jita hun mohabbat mein yahi kaam bahut hai
hum jate hain pyase tere mai-KHane se saqi
sunte to ye the tera karam aam bahut hai
ahbab karen ab na 'said' is mein izafa
dushman se jo milta hai wo inam bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.