itna jaan-soz mere shahr ka sannaTa hai
itnā jāñ-soz mire shahr kā sannāTā hai
mujh ko vīrānoñ kī taqdīr pe rashk aatā hai
sar pe jaltī huī ik dhuup hai tā-hadd-e-nazar
merā saaya mire qadmoñ pe chhupā jaatā hai
'mīr'-o-'ġhālib' kī rivāyāt se bad-zan shā'ir
be-irāda bhī usī raah par aa jaatā hai
kaañp jaatā huuñ ki baḌhne ko haiñ ġham ke saa.e
jab koī lamha masarrat ba-kanār aatā hai
jaane vo lamha kab aa.egā mirī hastī meñ
dil meñ jo aas kī qindīl jalā jaatā hai
qasr-e-mustaqbil-e-rā.anā bhī banāo yaaro
jī bahut maazī ke khañDarāt se ghabrātā hai
jaane kyā baat hai is dhartī kā chehra 'mehdī'
ḳhuun meñ Duub ke kuchh aur nikhar jaatā hai
itna jaan-soz mere shahr ka sannaTa hai
mujh ko viranon ki taqdir pe rashk aata hai
sar pe jalti hui ek dhup hai ta-hadd-e-nazar
mera saya mere qadmon pe chhupa jata hai
'mir'-o-'ghaalib' ki riwayat se bad-zan sha'ir
be-irada bhi usi rah par aa jata hai
kanp jata hun ki baDhne ko hain gham ke sae
jab koi lamha masarrat ba-kanar aata hai
jaane wo lamha kab aaega meri hasti mein
dil mein jo aas ki qindil jala jata hai
qasr-e-mustaqbil-e-raana bhi banao yaro
ji bahut mazi ke khanDaraat se ghabraata hai
jaane kya baat hai is dharti ka chehra 'mehdi'
KHun mein Dub ke kuchh aur nikhar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.