itna koi jahan mein kabhu bewafa na tha
itnā koī jahāñ meñ kabhū bevafā na thā
milte hī mere mujh se ye dil āshnā na thā
ab juuñ sarishk ḳhaak se saktā nahīñ huuñ uTh
aage maiñ dil kī aañkh se itnā girā na thā
nāseh jo ye nasīhat-e-be-jā na maiñ sunī
ma.azūr rakh tū mujh ko mirā dil bajā na thā
marne kī tarah maiñ ne jo ye iḳhtiyār kī
dekhā to zindagī meñ mazā kuchh rahā na thā
jo kuchh kaheñ ye tujh ko 'yaqīñ' hai sazā tirī
banda jo tū butoñ kā huā kyā ḳhudā na thā
itna koi jahan mein kabhu bewafa na tha
milte hi mere mujh se ye dil aashna na tha
ab jun sarishk KHak se sakta nahin hun uTh
aage main dil ki aankh se itna gira na tha
naseh jo ye nasihat-e-be-ja na main suni
mazur rakh tu mujh ko mera dil baja na tha
marne ki tarah main ne jo ye iKHtiyar ki
dekha to zindagi mein maza kuchh raha na tha
jo kuchh kahen ye tujh ko 'yaqin' hai saza teri
banda jo tu buton ka hua kya KHuda na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.