itna majbur na kar baat banane lag jaen
itnā majbūr na kar baat banāne lag jaa.eñ
ham tire sar kī qasam jhuuT hī khāne lag jaa.eñ
itne sannāTe piye merī samā'at ne ki ab
sirf āvāz pe chāhūñ to nishāne lag jaa.eñ
chaliye kuchh aur nahīñ āh-shumārī hī sahī
ham kisī kaam to is dil ke bahāne lag jaa.eñ
ham vo gum-gasht-e-mohabbat haiñ ki tum to kyā ho
ḳhud ko ham DhūñDne nikleñ to zamāne lag jaa.eñ
ḳhvāb kuchh aise dikhā.e haiñ faqīrī ne mujhe
jin kī tā'bīr meñ shāhoñ ke ḳhazāne lag jaa.eñ
maiñ agar apnī javānī ke sunā duuñ qisse
ye jo lauñDe haiñ mire paañv dabāne lag jaa.eñ
itna majbur na kar baat banane lag jaen
hum tere sar ki qasam jhuT hi khane lag jaen
itne sannaTe piye meri sama'at ne ki ab
sirf aawaz pe chahun to nishane lag jaen
chaliye kuchh aur nahin aah-shumari hi sahi
hum kisi kaam to is dil ke bahane lag jaen
hum wo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho
KHud ko hum DhunDne niklen to zamane lag jaen
KHwab kuchh aise dikhae hain faqiri ne mujhe
jin ki ta'bir mein shahon ke KHazane lag jaen
main agar apni jawani ke suna dun qisse
ye jo launDe hain mere panw dabane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.