itna nahin nazar ko hi bhata chala gaya
itnā nahīñ nazar ko hī bhātā chalā gayā
vo shaḳhs mere dil meñ samātā chalā gayā
mere qalam ne ḳhaas to kuchh bhī nahīñ kiyā
jo so rahe the un ko jagātā chalā gayā
logoñ ne merā rāsta rokā thā maiñ magar
paanī kī tarh raah banātā chalā gayā
yaaro kamāl hai ki vo merā na ban sakā
lekin mujhe vo apnā banātā chalā gayā
us ne to mere raaz ko rahne diyā na raaz
maiñ kis ko apnā raaz batātā chalā gayā
tab tak nazar meñ un kī maiñ achchhā banā rahā
jab tak kī haañ meñ haañ maiñ milātā chalā gayā
itna nahin nazar ko hi bhata chala gaya
wo shaKHs mere dil mein samata chala gaya
mere qalam ne KHas to kuchh bhi nahin kiya
jo so rahe the un ko jagata chala gaya
logon ne mera rasta roka tha main magar
pani ki tarh rah banata chala gaya
yaro kamal hai ki wo mera na ban saka
lekin mujhe wo apna banata chala gaya
us ne to mere raaz ko rahne diya na raaz
main kis ko apna raaz batata chala gaya
tab tak nazar mein un ki main achchha bana raha
jab tak ki han mein han main milata chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.