itna to irtibaat ho us sang-e-dar ke sath
itna to irtibaat ho us sang-e-dar ke sath
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
itnā to irtibāt ho us sang-e-dar ke saath
jhuk jaa.e kā.enāt bhī sajde meñ sar ke saath
ehsān-e-ġhair aur rah-e-manzil-e-habīb
hai nang-e-justujū jo chalūñ rāhbar ke saath
vo zarra-hā-e-dil bhī baḌe ḳhush-nasīb haiñ
vābasta ho ga.e jo tirī rahguzar ke saath
manzil kī fikr kyā hai ki ai rah-navard-e-shauq
manzil to har qadam pe hai azm-e-safar ke saath
dekhā kiye haiñ ḳhuub nasheb-o-farāz-e-dahr
khelā kiye haiñ fitna-e-shām-o-sahar ke saath
ġhairat kā hai maqām garebāñ ke vāste
dāman ne jo sulūk kiyā chashm-e-tar ke saath
guzre haiñ ham pe ishq meñ aise bhī hādse
ik rabt-e-ḳhās hai jinheñ terī nazar ke saath
'jauhar' hujūm-e-shauq meñ itnā to tum na ho
apnī ḳhabar bhī chāhiye un kī ḳhabar ke saath
itna to irtibaat ho us sang-e-dar ke sath
jhuk jae kaenat bhi sajde mein sar ke sath
ehsan-e-ghair aur rah-e-manzil-e-habib
hai nang-e-justuju jo chalun rahbar ke sath
wo zarra-ha-e-dil bhi baDe KHush-nasib hain
wabasta ho gae jo teri rahguzar ke sath
manzil ki fikr kya hai ki ai rah-naward-e-shauq
manzil to har qadam pe hai azm-e-safar ke sath
dekha kiye hain KHub nasheb-o-faraaz-e-dahr
khela kiye hain fitna-e-sham-o-sahar ke sath
ghairat ka hai maqam gareban ke waste
daman ne jo suluk kiya chashm-e-tar ke sath
guzre hain hum pe ishq mein aise bhi hadse
ek rabt-e-KHas hai jinhen teri nazar ke sath
'jauhar' hujum-e-shauq mein itna to tum na ho
apni KHabar bhi chahiye un ki KHabar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.